HAMD

Tareef-e-Khuda main piro'oun jab kabhi lafzun ke mooti ...
Chun na paon gi ilfaaz lage zindagi hai chooti ...

Uski unginat Rehmatain .. Uski Naimtain beshumaar ...
Likhun usse main Khaliq .. yan phir Aziz-ul-Jabbaar ...

Mushkilaat de ke apne bandun ko Azmana ...
Phir beshumaar khushiyun ko eik dum barsana ...

Kabhi apnou ko door kar ke ... Nakami se choor kar ke ...
Uska maqsad hai faqat hamain mazboot banana ...

Wo zaat uski RAHEEM ... Hai wo sab se AZEEM ...
Kare shikayat tu kese ?? Uska eik naam hai KAREEM ...

Ye khubsurat Kainaat... ata karda mal-o-jaan ...
FABI AYI AALAA E RABBI KUMA TUKAZZIBAAN ...

Chahta hai hamain wo 70 maon se bhar kar ...
Kaya hum choor nahi sakte gunah Khuda se dar kar ??

Waqt abhi bhi hai hath ... pehchanou apni zaat ...
Abhi ujaala hai jawani ka phir bhurape ki hogi raat ...

Karlo tauba Rab se hou ke ashkbaar...
Beshak wo bakshne wala hai
AYNA
Uski zaat hai GAFFAAAR ...

Comments

Popular posts from this blog

My old poem :)

Anokhe Jazbaat chu chu chu