EK SAPNA DEKHA THA MAIN NE


Chahat ke samundar main ubhra ...
Khushiyun ka samaan dekha tha ...

Rakh ke girvi logun ke dukh ...
Ek khush haal jahaan dekha tha ...

Dill ke jazbatun se bharpoor ...
Chahat ka armaan dekha tha ...

Sapno ki chadar aurhi thy ...
Jagti ankhun se main so rahi thy ...

"Alif" se le kar "Ye" tak ...
Har chooti khuwahish joori thy ...

Ek umeed thy bas wabasta ...
Himmat main ne na toori thy ...

Wo aas bhi ab toot gayi ...
Qismat jo mujh se rooth gayi ...

Phir ishq ki lat sawaar hoyi ...
Be matlab main khawaar hoyi ...

Apno pe bharosa rakha tha ...
Ab apne kahan milte hain ...

Ek baar jo phool murjha jaye ...
Wo dobara kahan khilte hain ...

khuwahishun ke toote tukre, bhikre the jo reza reza ..
Dill ke angan main ghari ghari khanjar ki manind chubte hain ...

Khuwabun se main katraati hun ...
Sone se ab main ghabrati hun ....

Ek sapna dekha tha  AYNA ...
Ab sapna main ne dekhun gi ... 

Comments

Popular posts from this blog

My old poem :)

HAMD

Anokhe Jazbaat chu chu chu