Big things often have small beginnings .. :) Data Entry Jobs - Home Jobs - Part time Jobs - Online Jobs At www.online-home-jobs.com
Posts
Showing posts from 2015
Anokhe Jazbaat chu chu chu
- Get link
- X
- Other Apps
Aao sonu ek raaz batlaon ... Chu chu chu ki ek kahani sonaon ... Murgi jab apni ankh khole ... Ando ko dekhe hole hole ... Jab ande se nikla ek choota chuzo ... Tu awaz thi us ki chu chu chu ... Bache hote the usse dekh ke khush ... Jese pait main mare koi mukke dhush dhush ... Lo bachon ki ab baat ha ayi ... Tu bachpan ke dinun main gull mill jaon ... Aao sono ek raaz batlaon ... Bachpan ki ek kahani sunaon ... Jab hote the hum chote chote ... Paon main hote the awaaz bhare jote ... Jun jun hum qadam uthate the ... Phir zameen pe paon lagate the ... Tu awaaz ati thi chu chu chu ... Jese chuza bole chu chu chu ... Us awaaz ko sunne ki khatir .. hum baar baar paon hilate the . Lo chu chu ... chu chu karrte karte ... Aao iska ek roop aur dikhlaon ... Jab ke yun kehna munasiib hoga ... ke kaya kaya is ke roop dikhaon ... Ab kahan wo din ..kahan aise dunya ... jisse ye choti choti khushiyan samjhaon ... choosa , jota , yan ek ehsaas afsurda ... har rang mein basa ha chu chu chu ... Musku...
MUHABBAT HOU CHUKI PORI CHALO AB ZAKHAM GINTE HAIN
- Get link
- X
- Other Apps
Tumhari muhabbat ne aise mere dill main beech boye thay ... Majood mehfilun main ho kar bhi tere khayaalun main khoye thay ... Tujhe dekh kar khamosh raat bhar na sote thay ... Tujhe paa kar zara takleef main pal pal hum rote thay ... Aao un payaar bhare jazbaat ke kuch lafz chunte hain .... Muhabbat hou chuki pori chalo ab zakham ginte hain ... Hadun ke daawe kar ke saari hadun ko toorna ... Mukhtasar mulaqaat ke lamhun ko yun baar baar moorna ... Yun tu main hun nahi faramosh ... Magar Muhabbat main rehta nhi koi hosh ... Dukhun ko bhoolna chahun muhabbat yaad aati hai ... Muat bhi tu akhir zindagi ke baad aati hai ... Kaha choor do muhabbat, Ashiq ye kahan sunte hain ... Muhabbat hou chuki pori chalo ab zakham ginte hain ... Suna hai sood dena haraam hota hai ... Warna ek ek dukh tujhe sar-e-aam dena tha ... Gham-e-tanhayi ishq ki ab ban chuki hai reet ... Warna is bewafayi ka tujhe Ina'aam dena tha ... Ban ke ashk teri ankhun se ab beh jana hai ... Faqat yadun main wajood mer...
HAMD
- Get link
- X
- Other Apps
Tareef-e-Khuda main piro'oun jab kabhi lafzun ke mooti ... Chun na paon gi ilfaaz lage zindagi hai chooti ... Uski unginat Rehmatain .. Uski Naimtain beshumaar ... Likhun usse main Khaliq .. yan phir Aziz-ul-Jabbaar ... Mushkilaat de ke apne bandun ko Azmana ... Phir beshumaar khushiyun ko eik dum barsana ... Kabhi apnou ko door kar ke ... Nakami se choor kar ke ... Uska maqsad hai faqat hamain mazboot banana ... Wo zaat uski RAHEEM ... Hai wo sab se AZEEM ... Kare shikayat tu kese ?? Uska eik naam hai KAREEM ... Ye khubsurat Kainaat... ata karda mal-o-jaan ... FABI AYI AALAA E RABBI KUMA TUKAZZIBAAN ... Chahta hai hamain wo 70 maon se bhar kar ... Kaya hum choor nahi sakte gunah Khuda se dar kar ?? Waqt abhi bhi hai hath ... pehchanou apni zaat ... Abhi ujaala hai jawani ka phir bhurape ki hogi raat ... Karlo tauba Rab se hou ke ashkbaar... Beshak wo bakshne wala hai AYNA Uski zaat hai GAFFAAAR ...
EK SAPNA DEKHA THA MAIN NE
- Get link
- X
- Other Apps
Chahat ke samundar main ubhra ... Khushiyun ka samaan dekha tha ... Rakh ke girvi logun ke dukh ... Ek khush haal jahaan dekha tha ... Dill ke jazbatun se bharpoor ... Chahat ka armaan dekha tha ... Sapno ki chadar aurhi thy ... Jagti ankhun se main so rahi thy ... "Alif" se le kar "Ye" tak ... Har chooti khuwahish joori thy ... Ek umeed thy bas wabasta ... Himmat main ne na toori thy ... Wo aas bhi ab toot gayi ... Qismat jo mujh se rooth gayi ... Phir ishq ki lat sawaar hoyi ... Be matlab main khawaar hoyi ... Apno pe bharosa rakha tha ... Ab apne kahan milte hain ... Ek baar jo phool murjha jaye ... Wo dobara kahan khilte hain ... khuwahishun ke toote tukre, bhikre the jo reza reza .. Dill ke angan main ghari ghari khanjar ki manind chubte hain ... Khuwabun se main katraati hun ... Sone se ab main ghabrati hun .... Ek sapna dekha tha AYNA ... Ab sapna main ne dekhun gi ...
My old poem :)
- Get link
- X
- Other Apps
Kash k muyassar houn kuch aise Ikhtiyarat ... Karun jo tasavur tera paon tujhe sath ... Karke mehsus tujhko Qalb-o-jaan se ... Nigahain kare saazishain, aur beqaabo hou jazbaat .... Mere wajood se na hat ti teri gehri nigahain ... Main hans k sharmaon tu jese tham jaye lamhaat ... Aey kash .... Aey kash ... Aey kash k is baar ... Khatam hou taqaza-e-rang wa zaat paat ... Choor chaar kr dunya ke sare Rasm-o-riwaj ... Ranjishun se balatar tham lun tera hath ... Hou muhabbat ki jeet ... toote dunya ki reet ... Judayi ban jaye sirf afsana .. Koi kisi se na hou begana ... Khushiyun ka hou faqat ujala ... Mit jaye ghamun ki ab raat ... Aey kash ... Aey kash ... Aey kash ke .. AYNA Ek tu hou ek main hun or na doji koi baat ...
My old poem :)
- Get link
- X
- Other Apps
Umeed-e-qalb ko jagaane ka bahana acha hai ... Yun ansoun ko muskurahat main chupane ka fasana acha hai ... Kitni takleef chupi hai raat ki tanhayi main akhir ... Geele sirhanou main is dard ka Thikana acha hai ... Ro Ro kar kati raat ye iqraar gawara nahi ... Surkh ankhun k sath koi jhoot batana acha hai ... Kuch hansil nahi us Bewafa ki yaad main ro kar ... Sajdoun main in ankhun ko rulana acha hai ... Nahi koi Umeed-e-wafa mitti k bashar se ... Zaat-e-Ilaahi se faqat umeed lagana acha hai ... Nit naye tareekun se wo tarpata hai ...
WO DEEWANA YAAD ATA HAI
- Get link
- X
- Other Apps
Mar mita jo wafa ki rahun main .... Wo deewana yaad ata hai ... Dill rakh ke jahaan bhool bethe ... Wo thikana yaad ata hai ... Sar-e-aam jamata tha jo haq mujh pe ... "TUM SIRF MERI HOU" uska ye jatlana yaad ata hai ... Dehleez-e-dill philang kr andar jo ana chahta tha ... Wo ashiq ,, wo mehboob ,, wo begana yaad ata hai ... Mera rothna yaad ata hai ,, uska manana yaad ata hai ... Kuch kahi unkahi batun ka afsana yaad ata hai ... Mera lakh koshish kr ke dafnana ishq k mudde ko ... Uska wahin atak ke phir se satana yaad ata hai ... Nahi de sakta koi umar qaid ki saza dill ko ... Baat baat pe uska ye samjhana yaad ata hai ... Ishq ki aag bhi jise lagti thy thandi ... AYNA Jo jal gaya shamma ki khatir wo parwana yaad ata hai ... Shart-e-saza yaad ati hai .. Ehd-e-wafa yaad ata hai ... Mar mita jo wafa ki rahun main wo deewana yaad ata hai ...
AAJ PHIR YE DILL TARSA HAI UNHE DEKHNEY KO
- Get link
- X
- Other Apps
Aaj phir ye dil tarsa hay unhe dekhney ko Barsun se jo ho chuki thy banjar ankhain .. Phir Ansuon ka selaab barsa hai unhe dekhney ko ... kehne ko tu uqaaab sa hai janoon-e-Ishq .. Phie arooj-e-bezaari pe shor barpa hai unhe dekhney ko .. Ishq-e-shanasayi se nagawari mizaaj ki ... Tootti ana ka badal b aaj garja hai unhe dekhne ko .. Hasrat kahun yan kahun zarorat .. AYNA Aaj phir ye dill tarsa hai unhe dekhney ko ...
JA BEQADRA TENU JAAN DITTA
- Get link
- X
- Other Apps
La ke preet mere nal janmun di ... Kisi aur nu tu apni jindh jaan kitta ... Mithiyaan mithiyaan jo karde c payaar diya'an galla'an ... Pal bhar che tu sab kuj pulla'an di kitta ... Andha parosa tere te , tenu sb tu boota maan ditta ... Toote toote kar ke dill de, meri jindhari nu tu nuqsan ditta .. Ek din aisa v awe ga, Meri yada'an tenu sataan giya'an ... Tu lakh awaza;an mare ga main mur ke fer na awaan gi ... Us waqt nu tu pachtawe ga, jis kari tu menu anjaan kitta ... Tere naa'n da diya jo jalaya c .. unhu dill vich main hun bujhaan ditta ... Ja beqadra tenu jaan ditta... Teri akh che na aye hanju kadi ... Khushiyan mile tenu badu badi ... Ja sajna tenu Rab diya'an Rakha'an ... Jinne khushiyan da tenu jaha'an ditta ... Tuwdi hasti sada salamat rahe.. Rab kalou bass main ae hi armaan kitta ... JA BEQADRA TENU JAAN DITTA